اردو हिंदी
Talib-e-did pe aanch aae ye manzur nahin | Shaahi Shayari
talib-e-did pe aanch aae ye manzur nahin

Ghazal

Talib-e-did pe aanch aae ye manzur nahin

Safi Lakhnavi

;

talib-e-did pe aanch aae ye manzur nahin
dil mein hai warna wo bijli jo sar-e-tur nahin

dil se nazdik hain aankhon se bhi kuchh dur nahin
magar is pe bhi mulaqat unhen manzur nahin

hum ko parwana o bulbul ki raqabat se gharaz
gul mein wo rang nahin shama mein wo nur nahin

KHalwat-e-dil na sahi kucha-e-shahrag hi sahi
pas rah kar na sahi aap se kuchh dur nahin

zauq-e-paband-e-wafa kyun rahe mahrum-e-jafa
ishq majbur sahi husn to majbur nahin

tabish-e-husn ne jab Dal diye hon parde
mumkin aankhon se ilaj-e-dil-e-ranjur nahin

lao mai-KHane hi mein kaT na den itni raat
masjiden ho gain mamur ye mamur nahin

chheD de saz-e-anal-haq jo dobara sar-e-dar
bazm-e-rindan mein ab aisa koi mansur nahin

kabhi kaise ho 'safi' puchh to leta koi
dil-dahi ka magar is shahr mein dastur nahin