اردو हिंदी
Takid karo zamzama-sanjaan-e-chaman ko | Shaahi Shayari
takid karo zamzama-sanjaan-e-chaman ko

Ghazal

Takid karo zamzama-sanjaan-e-chaman ko

Abdul Aziz Khalid

;

takid karo zamzama-sanjaan-e-chaman ko
bechain hon dil jin se wo naghme na alapo

ai ahl-e-watan! khao piyo shauq se lekin
khelo na kabhi sar se kabhi munh se na bolo

har tair-e-parran ke par-o-baal karo qainch
har banda-e-azad ko shishe mein utaro

ban jae riwayat na kahin halqa-e-zanjir
har rafta ko maujud ki mizan pe taulo

pursan-e-pareshani-e-insan nahin koi
qismat ki girah naKHun-e-tadbir se kholo

kyun sarf-e-nazar karte ho anjam se apne
qudrat to taraf-dar kisi ki nahin logo!

hum to hain faqat dil-zada-e-zauq-e-tamasha
rum hum se abas karte ho ai zohra-nigaho!

hum chashm-e-sahar, dida-e-shab, dast-e-saba hain
parda to hai na-mahramon se lala-azaro!

wo qaum ki nam is ka musalman hai 'KHalid'
kya yaad hai shart antum-ul-alaun ki us ko?