takid hai ki dida-e-dil wa kare koi
matlab ye hai ki dur se dekha kare koi
aate hi tere wada-e-farda ka e'tibar
ghabra ke mar na jae to phir kya kare koi
wo jalwa be-hijab sahi zid ka kya ilaj
jab dil mein rah ke aankh se parda kare koi
kahte hain husn hi ki amanat hai dard-e-ishq
ab kya kisi ke ishq ka dawa kare koi
KHali hai bazm-e-zauq-talab ahl-e-hosh se
itna nahin ki teri tamanna kare koi
wo dard de ki maut bhi jis ki dawa na ho
is dil ko maut de jise achchha kare koi
'fani' dua-e-marg ki takrar kya zarur
ghafil nahin ki un se taqaza kare koi
Ghazal
Takid hai ki dida-e-dil wa kare koi
Fani Badayuni