tair-e-KHush-rang ko be-baal-o-par dekhega kaun
us ko KHud apne lahu mein tar-ba-tar dekhega kaun
aaj to har shaKHs hai sae se tere shad-kaam
KHushk hone par tujhe kal ai shajar dekhega kaun
ye to sach hai kuchh jazire hain udhar behad hasin
un ko lekin bahr-e-KHun mein pair kar dekhega kaun
toD kar aaKHir hawas ka ye tilism-e-zar-nigar
ahd-e-nau ka izdaha-e-haft-paikar dekhega kaun
ai fasil-e-shahr-e-jaanan ek zara tu hi bata
main yahan par jaan to de dun magar dekhega kaun
ho gai binai to sab us ki diwaron mein jazb
un ke ghar ko dekh kar ab apna ghar dekhega kaun
kuchh tamashai bhi lazim hain sar-e-maqtal 'tufail'
wo nahin honge to qatil ka hunar dekhega kaun

Ghazal
Tair-e-KHush-rang ko be-baal-o-par dekhega kaun
Tufail Ahmad Madni