tabish ye bhala kaun si rut aai hai jaani
sahra mein koi reg na dariya mein hai pani
KHalwat-kada-e-dil pe zabun-haali-e-bisyar
hai surat ganjina-e-alfaz-o-maani
har chand hui is ke ewaz dil ki KHarabi
kya kahiye ki baDhta raha shauq-e-hama-dani
mujh se meri roti hui aankhen to na chhino
rahne do mere pas meri koi nishani
diwar-o-dar-o-baam ki virani ne akasr
ro ro ke kahi mausam-e-rafta ki kahani
Ghazal
Tabish ye bhala kaun si rut aai hai jaani
Ain Tabish