tabish-e-husn hijab-e-ruKH-e-pur-nur nahin
raKHna-gar ho nigah-e-shauq to kuchh dur nahin
shab-e-furqat nazar aate nahin aasar-e-sahar
itni zulmat hai ruKH-e-shama pe bhi nur nahin
raaz-e-sar-basta-e-fitrat na khula hai na khule
main hun is sai mein masruf jo mashkur nahin
sarf-e-nairangi-e-nazzara hai KHud apna wajud
ain wahdat hai koi nazir-o-manzur nahin
nazar aata nahin go manzil-e-maqsad ka nishan
zauq-e-sadiq yahi kahta hai ki kuchh dur nahin
Ghazal
Tabish-e-husn hijab-e-ruKH-e-pur-nur nahin
Barq Dehlvi