tabinda bahaaron ke nazare nahin dekhe
tu ne wo chamakte hue tare nahin dekhe
kuchh is liye bhi nind hamein aati hai jaldi
aankhon ne abhi KHwab tumhaare nahin dekhe
KHud hath milaya hai samundar mein bhanwar se
kashti ne talatum mein sahaare nahin dekhe
mumkin hai kisi taur koi chaara bhi hota
tu ne hi kabhi zaKHm hamare nahin dekhe
kya kya na sitam mujh pe kiya raat ne aa kar
din kaise meri jaan guzare nahin dekhe
kya dekh rahe ho ye mohabbat ke karam hain
tum ne kabhi taqdir ke mare nahin dekhe
Ghazal
Tabinda bahaaron ke nazare nahin dekhe
Maryam Naz