اردو हिंदी
Tabir ko tarse hue KHwabon ki zaban hain | Shaahi Shayari
tabir ko tarse hue KHwabon ki zaban hain

Ghazal

Tabir ko tarse hue KHwabon ki zaban hain

Abbas Rizvi

;

tabir ko tarse hue KHwabon ki zaban hain
taswir ke honTon pe jo boson ke nishan hain

aankhon mein tar-o-taza hain jis ahd ke manzar
hum log usi ahd-e-guzishta mein jawan hain

nilam hamara bhi isi shart pe hoga
hum raunaq-e-bazar hain jaise hain jahan hain

dil tha ki kisi saat-e-pur-KHun mein hua sard
aankhen hain ki ab tak teri jaanib nigaran hain

diwar pe likkha hai ki ab subh na hogi
aur saya-e-diwar mein hum raqs-kunan hain