اردو हिंदी
Tabir isko kya hai dhuan dekhta hun main | Shaahi Shayari
tabir isko kya hai dhuan dekhta hun main

Ghazal

Tabir isko kya hai dhuan dekhta hun main

Aashufta Changezi

;

tabir is ki kya hai dhuan dekhta hun main
ek dariya kuchh dinon se rawan dekhta hun main

ab ke bhi raegan gain sahra-nawardiyan
phir teri rahguzar ke nishan dekhta hun main

ye sach hai ek jast mein hai fasla tamam
lekin udhar bhi shahr-e-guman dekhta hun main

hai raushni hi raushni manzar nahin koi
suraj laTak rahe hain jahan dekhta hun main

aaya jo is hisar mein nikla na phir kabhi
kuchh Dubte ubharte makan dekhta hun main

khaegi ab ke bar bhi aashuftagi fareb
said-e-tilism-e-shola-ruKHan dekhta hun main