tabani-e-ruKH le kar tum samne jab aae
mahsus hua aisa hum chand se Takrae
barkha ka ye mausam bhi kis darja suhana hai
aahon ki idhar badli zulfon ke udhar sae
aagah na the pahle hum ishq ki rahon se
phulon ke ishaaron par kanTon mein chale aae
honTon ke tabassum par sau bijliyan raqsan hain
bikhraate hain wo shoale daman koi phailae
aalam-e-zamana se badla hun main kis had tak
main apne ko pahchanun aaina koi lae
ai dost mujhe tujh se ek daur ki nisbat hai
tarik meri raaten gesu tere kajlae
ye gul bhi hain dagh-e-dil hai farq 'salam' itna
kuchh rah gae gulshan mein kuchh dil mein chale aae
Ghazal
Tabani-e-ruKH le kar tum samne jab aae
Salam Sandelvi