اردو हिंदी
Tab-e-nazar se un ko pareshan kiye hue | Shaahi Shayari
tab-e-nazar se un ko pareshan kiye hue

Ghazal

Tab-e-nazar se un ko pareshan kiye hue

Mushir Jhanjhanvi

;

tab-e-nazar se un ko pareshan kiye hue
aaina-e-jamal ko hairan kiye hue

jalte rahe charagh ki surat tamam umr
lekin faza-e-gham ko farozan kiye hue

teri gali mein jashn-e-bahaaran hai be-KHabar
aae hain log dil ko gulistan kiye hue

saqi bas ek jam-e-sukun chahiye mujhe
haalat-e-zindagi hain pareshan kiye hue

hum bhi sharik-e-jashn-e-bahaaran hue to hain
tar-e-nazar ko sarf-e-gareban kiye hue

guzra hun zindagi ki har ek kashmakash se main
dil ko harif-e-gardish-e-dauran kiye hue

pas-e-wafa ne KHud hi gareban ko si diya
hum bhi chale the chaak-e-gareban kiye hue

dair o haram ke log hamein aa ke dekh len
hum hain tawaf-e-kucha-e-jaanan kiye hue

baiThe hain ajnabi ki tarah hum bhi ai 'mushir'
KHud ko sharik-e-bazm-e-harifan kiye hue