اردو हिंदी
Ta-umr aashna na hua dil gunah ka | Shaahi Shayari
ta-umr aashna na hua dil gunah ka

Ghazal

Ta-umr aashna na hua dil gunah ka

Shad Azimabadi

;

ta-umr aashna na hua dil gunah ka
KHaliq bhala kare teri tirchhi nigah ka

tanha maza uThata hai dil rasm-o-rah ka
bina to hai pe bas nahin chalta nigah ka

ji bhar ke dekh lun to kar is jurm par shahid
yun apne sar pe KHun na le be-gunah ka

rona jo ho to ro le bas ai chashm waqt-e-naza
ab aaj KHatma bhi hai roz-e-siyah ka

pahuncha ke hum ko qabr mein jate hain apne ghar
lijiye unhon ne wada kiya tha nibah ka

taqdir hashr se hamein lai bahisht mein
arman dil mein rah gaya us dad-KHwah ka

pa-posh naz karti hai un ki zamin par
chashmak-zan-e-siphar hai gosha kulah ka

dekha na karwan ne palaT kar ki kaun hun
meri tarah na ho koi wamanda rah ka

manzil ke qata karne ka mohkam hua jo qasd
ek ek daraKHt KHizr bana meri rah ka

Dhoe kahan tak is tan-e-KHaki ko umr bhar
ab ruh ko mile koi gosha nibah ka

behtar kahin the mujh se wo mai-KHwar saqiya
hila jo DhunDte rahe afu-e-gunah ka

ashkon ka silsila kahin TuTe bhi ai firaq
thak bhi chuke qadam meri fariyaad o aah ka

ek tujh pe munhasir nahin ai KHizr kar na naz
har rah-rau ko takta hai wamanda rah ka

rakkha jinan mein bhi hamein maghmum ta-abad
iqrar hum se le ke hamare gunah ka

izhaar-e-gham kiya to ye us ne diya jawab
chehra gawahi deta hai jhuTe gawah ka

ghaugha-e-hashr dil mein samata nahin mere
hangama yaad hai mujhe furqat mein aah ka

bhijwa diya bahisht mein puchha na dil ka haal
kya KHub faisla kiya is dad-KHwah ka

kya jaaniye talash-e-asar mein kahan gai
ab tak kahin pata na laga meri aah ka

sine mein apne nala o shewan ka shor hai
matam hamesha hai dil-e-ghufran-panah ka

yusuf ko ai siphar kuen mein gira to de
manzur imtihan hai zuleKHa ki chah ka

kyunkar na ahl-e-bazm mein ai 'shad' ho rusuKH
nemul-badal hun 'rasiKH'-e-ghufran-panah ka