ta-hashr zid mein subh ki aati rahegi sham
gul honge jo charagh jalati rahegi sham
har sham le ke aaegi paigham subh ka
har subh jal ke dhup mein lati rahegi sham
shamen jala ke sham se nafrat karenge log
logon ko pyar karna sikhati rahegi sham
tazin-e-chashm ho na ho kajal ki dhaar se
be-waqt bhi jahan mein aati rahegi sham
jaise hinai hath ho Duba sharab mein
manzar hamein wo roz dikhati rahegi sham
jaane lagengi bagh se jab din ki raniyan
raaton ki raniyon ko jagati rahegi sham
thak kar girega to ye sambhaalegi god mein
suraj ko TuTne se bachati rahegi sham
insan to phenk denge libas-e-haya ko dur
un ka har ek gunah chhupati rahegi sham
kisht-e-falak mein Dal ke KHun-e-shafaq ki khad
taron ki ek fasl ugati rahegi sham
kirnen kuchh aaftab ki 'jazib' sameT kar
moti rida-e-shab pe sajati rahegi sham
Ghazal
Ta-hashr zid mein subh ki aati rahegi sham
Nisar Tareen Jazib