اردو हिंदी
Ta-chand suKHan-sazi-e-nairang-e-KHarabaat | Shaahi Shayari
ta-chand suKHan-sazi-e-nairang-e-KHarabaat

Ghazal

Ta-chand suKHan-sazi-e-nairang-e-KHarabaat

Qayem Chandpuri

;

ta-chand suKHan-sazi-e-nairang-e-KHarabaat
yan qasd-e-KHarabi hai na aahang-e-KHarabaat

aa dil mein ki is dar pe jo baiTha hai phir un ne
farsaKH gine kaba ke na farsang-e-KHarabaat

dekhen to teri dhum Tuk ai shorish-e-masti
phir aaj sar o sina hai aur sang-e-KHarabaat

tashbih main jis dil ko na di kaba se so dil
ab ishq-e-mai-o-mugh se hai ham-rang-e-KHarabaat

ai ghuncha-dahan bas lab-e-mai-gun ko tanik mund
dil tang kahan tak ho dil-e-tang-e-KHarabaat

sau sar ka jo ho aae to maqbul nahin yan
khai nahin jis rind ne sarchang-e-KHarabaat

kis nam se 'qaem' main tujhe kah tu pukarun
ai aar-e-dar-e-masjid o ai nang-e-KHarabaat