اردو हिंदी
Ta-ba maqdur intizar kiya | Shaahi Shayari
ta-ba maqdur intizar kiya

Ghazal

Ta-ba maqdur intizar kiya

Mir Taqi Mir

;

ta-ba maqdur intizar kiya
dil ne ab zor be-qarar kiya

dushmani hum se ki zamane ne
ki jafakar tujh sa yar kiya

ye tawahhum ka kar-KHana hai
yan wahi hai jo e'tibar kiya

ek nawak ne us ki mizhgan ke
taer-e-sidra tak shikar kiya

sad-rag-e-jaan ko tab de baham
teri zulfon ka ek tar kiya

hum faqiron se be-adai kya
aan baiThe jo tum ne pyar kiya

saKHt kafir tha jin ne pahle 'mir'
mazhab-e-ishq iKHtiyar kiya