اردو हिंदी
Swang bharta hun tere shahr mein saudai ka | Shaahi Shayari
swang bharta hun tere shahr mein saudai ka

Ghazal

Swang bharta hun tere shahr mein saudai ka

Saleem Ahmed

;

swang bharta hun tere shahr mein saudai ka
ki yahi haal hai andar se tamashai ka

bazm ke haal pe ab hum nahin kuDhne wale
intizamat mein kya daKHl tamashai ka

hum to sau jhuT bhi bolen wo agar hath aae
koi Theka to uThaya nahin sachchai ka

dil-e-KHun-gashta ko ja ja ke dikhaen yaro
shahr mein kaam nahin lala-e-sahrai ka

log kahte hain hawas ko bhi mohabbat jaise
nam paD jae mujahid kisi balwai ka

ye nahin hai ki nawaze na gae hon hum log
hum ko sarkar se tamgha mila ruswai ka

un ko TuTa hua dil hum bhi dikhaenge 'salim'
koi puchh aae wo kya lete hain banwai ka