swad-e-gham mein kahin gosha-e-aman na mila
hum aise khoe ki phir tera aastan na mila
ghamon ki bazm ki tanhaiyon ki mahfil thi
hamein wo dushman-e-tamkin kahan kahan na mila
ajib daur-e-sitam hai ki dil ko muddat se
nawed-e-gham na mili muzhda-e-ziyan na mila
kise hai yaad ki sai-o-talab ki rahon mein
kahan mila hamein tera nishan kahan na mila
udhar wafa ka gila hai ki dil lahu na hua
udhar sitam ko shikayat ki qadr-dan na mila
labon ko nutq ka eajaz to mila 'taban'
magar sukut ka pairaya-e-bayan na mila

Ghazal
Swad-e-gham mein kahin gosha-e-aman na mila
Taban Ghulam Rabbani