suraton ke shahr mein rauzan hi rauzan dekh kar
ghar mein aa baiThe kushada ghar ka aangan dekh kar
log Dale hain badan par fikr ke rangin ghilaf
aainon mein shaKHsiyat ka khurdura-pan dekh kar
bad-guman ahbab hote hain to hone dijiye
baat kyun ho fikr-o-fan ki rang-o-roghan dekh kar
hum chale the KHwahishon ka tajziya karne magar
ruk gae hain in-o-an ki tez dhaDkan dekh kar
ab to virana hi virana hai shahr-e-dard mein
kitne din roya kiye KHwabon ka madfan dekh kar
zehn tum ko jis taraf le jae ai 'tanwir' jao
kya karoge maslak-e-shaiKH-o-barahman dekh kar
Ghazal
Suraton ke shahr mein rauzan hi rauzan dekh kar
Tanveer Samani