surat se wo bezar hai malum nahin kyun
dil phir bhi talabgar hai malum nahin kyun
har shaKHs ko baKHshi gai tamiz-e-bad-o-nek
har-shaKHs ziyan-kar hai malum nahin kyun
ek chiz ki sarmaya-e-rahat hai use log
kahte hain ki aazar hai malum nahin kyun
patta bhi agar hilta hai to us ki raza se
aur banda gunahgar hai malum nahin kyun
din-dar hai zahid ki zaban bhi mera dil bhi
phir muft ki takrar hai malum nahin kyun
Ghazal
Surat se wo bezar hai malum nahin kyun
Hari Chand Akhtar

