اردو हिंदी
Surat ka apni yar parastar tha so hai | Shaahi Shayari
surat ka apni yar parastar tha so hai

Ghazal

Surat ka apni yar parastar tha so hai

Ishq Aurangabadi

;

surat ka apni yar parastar tha so hai
aaina dil us ko jo darkar tha so hai

ye dil hai tegh-e-abru-e-KHamdar ka shahid
is ka gawah dida-e-KHamdar tha so hai

malik hai mere dil ka KHuda tujh se ai sanam
paiwasta bandagi ka jo iqrar tha so hai

zahir mein garche kufr se munkir hua hai shaiKH
poshida us ki subha mein zunnar tha so hai

tujh KHat ki yaad mein dil-e-hairan-e-ishq ka
durr-e-najaf ki tarah se mudar tha so hai