اردو हिंदी
Surat-e-sahar jaun aur dar-ba-dar jaun | Shaahi Shayari
surat-e-sahar jaun aur dar-ba-dar jaun

Ghazal

Surat-e-sahar jaun aur dar-ba-dar jaun

Ejaz Gul

;

surat-e-sahar jaun aur dar-ba-dar jaun
ab to faisla Thahra raat se guzar jaun

wahimon ke zindan ka zehn zehn qaidi hai
bol fikr-e-tabinda main kidhar kidhar jaun

meri na-rasai se qafila na ruk jae
main ki pa-shikasta hun raste mein mar jaun

ishq ki sadaqat par jabki mera iman hai
kaise KHud-kushi kar lun kyun bikhar bikhar jaun