اردو हिंदी
Surat-e-gul kabhi zulfon mein saja kar le jae | Shaahi Shayari
surat-e-gul kabhi zulfon mein saja kar le jae

Ghazal

Surat-e-gul kabhi zulfon mein saja kar le jae

Nabeel Ahmad Nabeel

;

surat-e-gul kabhi zulfon mein saja kar le jae
jab bhi chahe wo mujhe apna bana kar le jae

dil ko rakkha hai sar-e-rah-e-mohabbat kab se
koi to aae idhar aur uTha kar le jae

raat-bhar jagta rahta hun main is KHauf ke sath
tujh ko mujh se na koi shaKHs chura kar le jae

jab bhi aati hai kisi aur se aandhi aksar
mere aangan se tere naqsh uTha kar le jae

dawat-e-am hai us jaan ke dushman ko mujhe
talKHiyan mazi ki is bar bhula kar le jae

jab bhi tabir ka imkan nazar aata hai
meri aankhon se koi KHwab chura kar le jae

main to is shaKHs se kahta raha har bar 'nabil'
mujh ko do bol mohabbat ke suna kar le jae