suraj sitare chand jo barbaad ho gae
andhi sada ki qaid se aazad ho gae
shahr-panah TuT ke lo ho gaya khanDar
adh-kachchi aarzuon se hum shad ho gae
phir DhunDhti phiregi ye pagal hawa kise
sune jazire hum se jo aabaad ho gae
lauT aaenge parinde nai rut ke sath sath
qisse kahaniyon ke wo din yaad ho gae
izhaar chiKHta nahin jazbaat mar gae
kaise khilaune shahr mein ijad ho gae
Ghazal
Suraj sitare chand jo barbaad ho gae
Syed Arif