اردو हिंदी
Suraj nikalne sham ke Dhalne mein aa rahun | Shaahi Shayari
suraj nikalne sham ke Dhalne mein aa rahun

Ghazal

Suraj nikalne sham ke Dhalne mein aa rahun

Zia-ul-Mustafa Turk

;

suraj nikalne sham ke Dhalne mein aa rahun
main kya ajab ruton ke badalne mein aa rahun

barish barasne dhup ke khilne mein hun sharik
shaKHon pe konpalon ke nikalne mein aa rahun

bahne lagun kinaron ko chhute hue kahin
dariya ke lahr lahr machalne mein aa rahun

ruk jaun Tahniyon ko bala kar zara si der
phir se hawa chale to main chalne mein aa rahun

gandum ki baaliyon mein banon zaiqa kahin
miTTi ko chumun phulne-phalne mein aa rahun

tujh mein sama na jaun agar mera bas chale
ye dil dhaDakne sans ke chalne mein aa rahun

ho jaun 'turk' taq hi is KHwab-gah ka
lau ki tarah charagh ke jalne mein aa rahun