suraj ki tarah qariya-e-mahtab mein aaya
raat ek ajab shaKHs mere KHwab mein aaya
kya lahr thi jo mujh ko laga aai kinare
kis mauj se phir halqa-e-girdab mein aaya
ye shahar to sahraon ki sarhad pe basa tha
kaise ye KHaraba kaf-e-sailab mein aaya
ek yaad se raushan hue diwar-o-dar-o-baam
KHam ek nai tarah ka mehrab mein aaya
pahle to dhanak-rang mein Duba ufuq-e-jaan
phir manzar-e-hijran bhi tab-o-tab mein aaya
ek shaKHs ki yakta tha darida-dahni mein
zikr us ka magar pyar se ahbab mein aaya
Ghazal
Suraj ki tarah qariya-e-mahtab mein aaya
Asad Badayuni