suraj ki sunahri kirnon se tabinda ruKH-e-alam na sahi
aasar-e-sahar to paida hain kam zulmat-e-sham-e-gham na sahi
aadab-e-chaman se na-waqif zanjir bapa diwanon ko
tamir-e-chaman ki fikr to hai taKHrib-e-chaman ka gham na sahi
han yaad hamein bhi kar lena aasaish-e-manzil se pahle
ai qafile walo gham na karo ai manzil-e-jaanan hum na sahi
anjam-e-safar kya hona hai ye faisla mustaqbil dega
maidanon pe wahshat aaj bhi hai rahon ke wo pech-o-KHam na sahi
mayus 'mujib' itna bhi na ho laghzish to gunah-e-adam hai
manzil ki talab to mohkam hai idrak-e-safar mohkam na sahi
Ghazal
Suraj ki sunahri kirnon se tabinda ruKH-e-alam na sahi
Mujeeb Khairabadi