suraj ki kiran ka shoabada hai 
rang-e-ruKH-e-zard uD gaya hai 
naqsh-e-kaf-e-pa ne gul khilae 
viran kahan ab ye rasta hai 
jag uTThi hain zindagi ki rahen 
shayad koi chand ko gaya hai 
sholon se hua tha bagh KHali 
phir sina-e-gul bhaDak uTha hai 
patte patte ka rang badla 
badli badli hui faza hai 
pahle to na yun kabhi hua tha 
tu bhi mujhe dekh kar hansa hai 
beganagi ne ye raaz khola 
tu mera azal se aashna hai 
shabnam sar-e-nok-e-KHar yani 
lab pe mere harf-e-muddaa hai 
har dard nahin dawa ka muhtaj 
yun bhi to ilaj-e-gham hua hai 
tera hi rahega bol-baala 
dil mera abas dhaDak raha hai
        Ghazal
Suraj ki kiran ka shoabada hai
Qayyum Nazar

