suraj ke ham-safar hain hamari umang ye
aur samne hamare hai kali surang ye
meri tarah ye dil ke lahu mein nahae hain
be-wajh to nahin hai gulabon ka rang ye
is marke mein kaam jo hum aa gae to kya
jari rahegi baad hamare bhi jang ye
ek lams mil gaya tha mujhe tere dhyan ka
ab umr-bhar utarne nahin dunga rang ye
sharminda hun na dost muzir is liye hun main
aate hain dushmanon ki taraf hi se sang ye
aai hui giraft mein hai gard-baad ki
ab jangalon mein ja ke giregi patang ye
ranaiyan ajib si hain yaad-e-yar mein
KHushbu ye KHushbuon mein hai rangon mein rang ye
Ghazal
Suraj ke ham-safar hain hamari umang ye
Naseem Sahar