اردو हिंदी
Suraj chaDha to dil ko ajab wahm sa hua | Shaahi Shayari
suraj chaDha to dil ko ajab wahm sa hua

Ghazal

Suraj chaDha to dil ko ajab wahm sa hua

Prem Kumar Nazar

;

suraj chaDha to dil ko ajab wahm sa hua
dushman jo shab ko mara tha wo uTh khaDa hua

bikhri hui hai ret nadamat ki zehn mein
utra hai jab se jism ka dariya chaDha hua

zulfon ki aabshaar sirhane pe gir paDi
khola jo us ne raat ko joDa bandha hua

nikla karo pahan ke na yun muKHtasar libas
paDh lega koi lauh-e-badan par likha hua

ek shaKHs jis se mera taaruf nahin magar
guzra hai bar bar mujhe dekhta hua