sune sune se falak par ek ghaTa banti hui
dhire dhire us ki aamad ki faza banti hui
janm ka bas ek lamha aur ab ye zindagi
ek zara si baat baDh kar masala banti hui
qaid si lagne lagi hai mujh ko ye aawargi
ab to aazadi bhi meri ek saza banti hui
teri di har choT ek lazzat si hai mere liye
ab ye lazzat daimi sa zaiqa banti hui
kar gai hai kis qadar masruf mujh ko dekhiye
meri subh-o-sham ka wo mashghala banti hui
hain sabhi TuTe hue ye jaan paya jab dukhi
meri ek TuTi sada sab ki sada banti hui
ai mere sae mila hai jab se tujh sa ham-safar
raste ki har musibat rasta banti hui
tham chuki thi jab ki har halchal teri yaad aai phir
zindagi ki sath par ek bulbula banti hui
meri aankhen hain abhi bhi is tilismi qaid mein
is ki wo dhundli si surat ja-ba-ja banti hui
is jalan ke sath hi rahna hai ab 'atish' mujhe
jo meri zid thi kabhi ab wo ana banti hui
Ghazal
Sune sune se falak par ek ghaTa banti hui
Swapnil Tiwari

