sune hi rahe hijr ke sahra use kahna
sukhe na kabhi pyar ke dariya use kahna
barbaad kiya hum ko teri kam-nazari ne
yun hote na warna kabhi ruswa use kahna
ek hashr bapa kar ke sar-e-sham safar mein
phir tu ne mera haal na puchha use kahna
jis hashr ke Dar se wo juda mujh se hua tha
wo hashr to phir bhi hua barpa use kahna
ek KHwab sa dekha tha to main kanp uTha tha
phir main ne koi KHwab na dekha use kahna
Ghazal
Sune hi rahe hijr ke sahra use kahna
Safdar Saleem Sial