suna laga baghair tere mujh ko sara ghar
belen chaDhin gulab ki jab bath-room par
upar wo ganw niche luDhakti Dhalan par
masjid ko sajda-rez KHamida si ek Dagar
kin uljhanon mein bachche ko paDhwai nursery
kin koshishon se tai hua ek sal ek safar
aaTa bhi ghi bhi ghar bhi yahan qimatan milen
kyun aa gaya main shahr mein ganw ko chhoD kar
lau de wo kalpana kahin jag darpana ke dwar
barson ruken idhar kahin sarson jhuken udhar
tera milan zarur bhi dastur bhi sahi
paDti hain raste mein chanaben bahut magar
tazin bhi zamin bhi sab kuchh isi mein hai
mukh bolta qamar kasalik Dolti lagar
chiDiyon ka shor chulhon se uThte dhuen ki kor
subhon ke sab suhag, hawa, par, sada, gajar
hum bandhanon ke bir piya paran mein sarir
meri wahi Dagar sakhi mera wahi nagar
chhalke surur gat se aanand hath se
de ri sakhi KHabar gaya gagar ko kaun bhar
donon tapasya tyag hain donon birah bahag
shubh shyam dil ke dar kahin hirdai ke bich 'har'
Ghazal
Suna laga baghair tere mujhko sara ghar
Nasir Shahzad