suna aangan nind mein aise chaunk uTha hai
sote mein bhi jaise koi siski leta hai
ghar mein to is mahaul ka main aadi hun lekin
bazaron ki virani se dam ghuTta hai
muddat se main soch raha tha ab samjha hun
jeb aur aankh ke KHali-pan mein kya rishta hai
itne log mujhe ruKHsat karne aae hain
ghar wapas jaana bhi tamasha sa lagta hai
log to apni jaanib se kuchh joD hi lenge
itni adhuri baaten hain wo kyun karta hai
apni kya in raston ke bare mein sochun
un ka safar to meri umr se bhi lamba hai
us ki aankhon se ojhal mat hona 'shaariq'
pichha karne wala bahut tanha hota hai

Ghazal
Suna aangan nind mein aise chaunk uTha hai
Shariq Kaifi