اردو हिंदी
Sukhe hue patton mein aawaz ki KHushbu hai | Shaahi Shayari
sukhe hue patton mein aawaz ki KHushbu hai

Ghazal

Sukhe hue patton mein aawaz ki KHushbu hai

Zaheer Siddiqui

;

sukhe hue patton mein aawaz ki KHushbu hai
alfaz ke sahra mein taKHil ka aahu hai

jate hue suraj ki ek tirchhi nazar hi thi
tab sharm ka sindur tha ab hijr ka gesu hai

mashur faza kyun hai majbur saba kyun hai
rangon ke hisaron mein naghmat ka jadu hai

maujon se ulajhna kya tufan se guzarna kya
har Dubne wale ko ehsas-e-lab-e-ju hai

is daur-e-KHirad mein bhi ai kash ye mumkin ho
tu soche ki bas main hun main samjhun ki bas tu hai

kab aankh jhapak jae taswir badal jae
har lamha subuk-rau hai har jalwa tunuk-KHu hai

bazar-e-tamanna ki har chiz hi nazuk hai
ajnas-e-gham-e-dil hain palkon ki taraazu hai