sukhe hue daraKHt ke patton ko dekhna
phir chehra-e-hatyat ke zaKHmon ko dekhna
KHush-rangi-e-hayat ka paoge aks tum
patthar uchhaal kar zara lahron ko dekhna
meri nazar mein ye bhi ibaadat KHuda ki hai
shafqat bhari nigah se bachchon ko dekhna
is waste main pas hi rakhta hun aaina
mushkil hai apni aankh se jazbon ko dekhna
taKHrib-e-kaenat ki zinda misal hai
sahil pe intishaar ke zaKHmon ko dekhna
jakDenge ek din wahi rishton ke jal mein
ho jae dhund saf to apnon ko dekhna
Ghazal
Sukhe hue daraKHt ke patton ko dekhna
Hasan Nizami