اردو हिंदी
Sukh jati hai meri chashm-e-rawan barish mein | Shaahi Shayari
sukh jati hai meri chashm-e-rawan barish mein

Ghazal

Sukh jati hai meri chashm-e-rawan barish mein

Osama Zakir

;

sukh jati hai meri chashm-e-rawan barish mein
aasman hota rahe ashk-e-fishan barish mein

sare sahrai rihai ke tamannai na the
aa gaya le ke hamein qais kahan barish mein

ghonsle TuT gae peD gire bandh gire
ganw pe phir bhi jawan nashsha-e-jaan barish mein

teri sarsabz bahaaron pe damakte qatre
lauh-e-mahfuz ke kuchh ramz-e-nihan barish mein

lab-e-ehsas kabhi tu kisi qabil ho ja
chum le manzil-e-mubham ke nishan barish mein

hanpti kanpti mazbut iradon wali
bench pe baiThi hui mahw-e-guman barish mein

pahli Tap Tap hi mere hosh uDa deti hai
nind uDti hai aTak jati hai jaan barish mein

aaj bhi Darta hun bijli ke kaDake se bahut
us ko qabu mein kiya karti thi man barish mein

mere kamre ka makin habs gala ghonTta hai
koi to ramz-e-aziyyat hai nihan barish mein