sufi-e-shahr mere haq mein dua kya karta
KHud tha muhtaj-e-ata mujh ko ata kya karta
apni aawaz ke sannaTe se hol aata hai
main bayaban-e-tamanna mein sada kya karta
sans lete hue sine mein jalan hoti hai
main tere shahr ki shadab faza kya karta
is faza mein to farishton ke bhi par jalte hain
main yahan jurat-e-parwaz bhala kya karta
mohtasib jurm mera dekh ke KHamosh raha
KHud KHata-kar tha ahkaam-e-saza kya karta
tum ne to chhin li mujh se meri goyai bhi
main to ek kaghaz-e-atish-zada tha kya karta
Ghazal
Sufi-e-shahr mere haq mein dua kya karta
Mohsin Ehsan