sud-o-ziyan ke bab mein haare ghaDi ghaDi
sanson ke qarz hum ne utare ghaDi ghaDi
chalti rahi hawa-e-muKHalif tamam raat
girte rahe falak se sitare ghaDi ghaDi
thamti hai rose gardish-e-saghar magar KHumar
chalta hai sath sath hamare ghaDi ghaDi
ab hijr na visal na sauda tere baghair
dukhta hai dil bhi dard ke mare ghaDi ghaDi
ai raKHsh-e-naz muD ke zara dekh to sahi
yaadon ke dar se kaun pukare ghaDi ghaDi
'salman' phir chala hai usi bazm-e-naz mein
kam-zarf apne baal sanware ghaDi ghaDi

Ghazal
Sud-o-ziyan ke bab mein haare ghaDi ghaDi
Salman Ansari