su-e-sahra hi mujhe le gai wahshat meri
tere dar par na hui aah sukunat meri
hai masihai ka dawa to jila le aa kar
dam labon par hai zara dekh to surat meri
main ne bazar-e-jahan mein liya sauda tera
husn-e-yusuf pe fida kya ho tabiat meri
bagh-e-alam mein gham-e-ishq ka phal rahat hai
mojib-e-izz-o-karamat hui zillat meri
hun main aawara-o-gum-gashta rah-e-maqsad ka
hazrat-e-KHizr se kya hogi hidayat meri
main muqim-e-dar-e-jaanan hun wo tanha dasht-naward
josh-e-ulfat mein hai kya qais se nisbat meri
uD ke pahuncha sar-e-gardun pe bagula ban kar
baad miTne ke buland utni hai himmat meri
pas mere jo na aae koi shikwa kya hai
karti hai be-kasi-e-ishq rifaqat meri
nara-zan rad ke manind gham-e-hijr se hun
sifat-e-'barq' taDapne ki hai aadat meri
Ghazal
Su-e-sahra hi mujhe le gai wahshat meri
Shyam Sunder Lal Barq