su-e-manzil na jo rawan honge 
surat-e-gard-e-karwan honge 
lab agar KHugare-fughan honge 
dagh-e-dil aur bhi ayan honge 
do-ghaDi hans ke baat kar hum se 
phir KHuda jaane hum kahan honge 
gulsitan mein bahaar aane de 
Dali-Dali pe aashiyan honge 
aah wo fasle jo qurb pe bhi 
mere aur un ke darmiyan honge 
husn jab tak na jalwa-gar hoga 
donon aalam dhuan-dhuan honge 
chhiD gaya phir tere shabab ka zikr 
dil ke arman phir jawan honge 
aap kahte hain hain to yaqin hai mujhe 
aap bhi mere qadr-dan honge 
hum na honge magar hamare baad 
ashk is aankh se rawan honge 
wajh-e-barbaadi-e-dil-e-'rifat' 
aap jaise hi qadr-dan honge
        Ghazal
Su-e-manzil na jo rawan honge
Rifat Sultan

