اردو हिंदी
Su-e-falak na jaanib-e-mahtab dekhna | Shaahi Shayari
su-e-falak na jaanib-e-mahtab dekhna

Ghazal

Su-e-falak na jaanib-e-mahtab dekhna

Ahmad Faraz

;

su-e-falak na jaanib-e-mahtab dekhna
is shahr-e-dil-nawaz ke aadab dekhna

tujh ko kahan chhupaen ki dil par giraft ho
aankhon ko kya karen ki wahi KHwab dekhna

wo mauj-e-KHun uThi hai ki diwar-o-dar kahan
ab ke fasil-e-shahr ko gharqab dekhna

in suraton ko tarsegi chashm-e-jahan ki aaj
kamyab hain to kal hamein nayab dekhna

phir KHun-e-KHalq o gardan-e-mina bachaiyo
par chal paDa hai zikr-e-mai-e-nab dekhna

aabaad ku-e-chaak-e-gareban jo phir hua
dast-e-raqib o daman-e-ahbab dekhna

hum le to aae hain tujhe ek be-dili ke sath
is anjuman mein ai dil-e-betab dekhna

had chahiye 'faraaz' wafa mein bhi aur tumhein
gham dekhna na dil ki tab-o-tab dekhna