su-e-dariya KHanda-zan wo yar-e-jaani phir gaya
motiyon ki aabru par aaj pani phir gaya
suiyan si kuchh dil-e-wahshi mein phir chubhne lagin
Thik hone ko libas-e-arghawani phir gaya
hathkaDi bhaari hai mere hath ki aaj ai junun
dast-e-jaanan ka kahin chhalla nishani phir gaya
zor paida kar ki pahunche jeb tak dast-e-junun
ab to mausam ai wafur-e-na-tawani phir gaya
sarfroshan-e-mohabbat se na hogi aankh chaar
munh jo us ki tegh ka ai saKHt-jaani phir gaya
kahte ho hum aaj mulk-e-husn ke hain baadshah
kya huma baala-e-sar ai yar-e-jaani phir gaya
kyun kabutar ke ewaz hudhud na laya KHatt-e-shauq
is KHata par mujh se wo bilqis-e-sani phir gaya
bosa kaisa ek lab-e-shirin se gali bhi na di
aaj phir ummid-war-e-mehrbani phir gaya
ai zaifi saya sar par se gaya dhup aa gai
fasl badli aaftab-e-zindagani phir gaya
gir paDe aansu uruj-e-mah-e-kaamil dekh kar
meri nazron mein tera ahd-e-jawani phir gaya
Ghazal
Su-e-dayar KHanda-zan wo yar-e-jaani phir gaya
Taashshuq Lakhnavi