surur se aTe hue ai mausam-e-visal ruk
mile darida-qalb ko sukun-e-indimal ruk
ai hairat-e-gulab-ruKH tu itna la-jawab hai
ki kah uThe sawal se hamare lab sawal ruk
tujhe gila hai ab wo lazzaten rahin na qurbaten
main Dalta hun raqs-e-ishq mein abhi dhamal ruk
na ras aaega koi na dil ko bhaega koi
hamare bin Dasega tujh ko umr-bhar malal ruk
paDega ran aziyyaton ka samt-e-shahr-e-hijr roz
udhar na ja Thahar zara tu dekh mera haal ruk
main tere hasb-e-iddaa nahin hun wo jo tha kabhi
wo tha bhi lauT aaega ai mere ham-KHayal ruk
ghazal-taraaziyan meri nigah-e-naz se teri
ye kar rahi hain iltija na ja mere ghazal ruk
hawas kho chuke hain sab hua 'nadim' jaan-balab
tu ab na mere samne aa hasil-e-jamal ruk
Ghazal
Surur se aTe hue ai mausam-e-visal ruk
Nadeem Sirsivi