surmai raaton se chhinwa kar sahar ki raunaqen
nala-e-sham-e-ghariban bechta phirta hun main
mauj-e-barbat mauj-e-gul mauj-e-saba ke sath sath
nikhat-e-gasu-e-KHuban bechta phirta hun main
didani hai ab mere chaak-e-gireban ka maal
kaj-kulahon ke gireban bechta phirta hun main
shola-e-tariKH ki zad par hai taj-e-khusrawi
gharra-e-taqdir-e-sultan bechta phirta hun main
kalba-e-mehnat-kashan ko de ke ghairat ka charagh
shaukat-e-qasr-e-zar-afshan bechta phirta hun main
Ghazal
Surmai raaton se chhinwa kar sahar ki raunaqen
Shorish kashmiri