اردو हिंदी
Surma-e-chashm banaya dil o jaan par rakkha | Shaahi Shayari
surma-e-chashm banaya dil o jaan par rakkha

Ghazal

Surma-e-chashm banaya dil o jaan par rakkha

Khurshid Talab

;

surma-e-chashm banaya dil o jaan par rakkha
zahr tha phir bhi use main ne zaban par rakkha

is KHasare mein ajab tarah ki sarshaari thi
dil ko mamur sada kar-e-ziyan par rakkha

koi raushan to kare aa ke KHad-o-KHal mere
harf-e-iqan hun auraq-e-guman par rakkha

aaj dariya mein ajab shor ajab halchal hai
kis ki kashti ne qadam aab-e-rawan par rakkha

kya saba kaun saba baad-e-bahaari kaisi
ek ek gul ho jahan nok-e-sinan par rakkha

ek qalandar ki tarah waqt raha mahw-e-KHiram
us ne kab dhyan talab shor-e-sagan par rakkha