surKH sunahri sabz aur dhani hoti hai
jhil kinare sham suhani hoti hai
KHud se jab bhi aankh milani hoti hai
aankh to jaise pani pani hoti hai
raqs kare aur aankh mein pani bhar aae
har laDki thoDi diwani hoti hai
kitni bojhal hai KHiffat ki gaThri bhi
jo mujh ko har rose uThani hoti hai
wo kab bina batae wada toD gaya
aankhon se bhi aana-kani hoti hai
nani ke chehre ki lakiron ko bunti
bachpan ki har sham kahani hoti hai
kaise kah dun mujhe mohabbat hai tum se
tum se to har baat chhupani hoti hai
dil ke darwaze par aahaT sunti hun
jabhi to aankhon mein hairani hoti hai
bhige bhige honT jahan hun shabnam ke
wahin kahin par raat ki rani hoti hai
rose nigahen sach kah deti hain sara
rose mujhe hi baat banani hoti hai
tum se mil kar 'sima'-naqwi KHud apne
hone ki bhi yaad-dahani hoti hai
Ghazal
SurKH sunahri sabz aur dhani hoti hai
Seema Naqvi