surKH sidha saKHt nila dur uncha aasman
zard suraj ka watan tarik bahta aasman
sard chup kali saDak ko raundte phirte charagh
dagh dagh apni rida mein sar ko dhunta aasman
dur dur uDta gaya main nur ke rahwar par
phir bhi jab bhi sar uThaya munh pe dekha aasman
jaane kab se be-nishan wo chah-e-shab mein gharq tha
main jo uTha ho gaya ek dam ujala aasman
nachta phirta sharar bhi nim shab ki god mein
dil-lagi ka ek jatan tha kuchh to khulta aasman

Ghazal
SurKH sidha saKHt nila dur uncha aasman
Shamsur Rahman Faruqi