surKH sahar se hai to bas itna sa gila hum logon ka
hijr charaghon mein phir shab bhar KHun jala hum logon ka
hum wahshi the wahshat mein bhi ghar se kabhi bahar na rahe
jangal jangal phir bhi kitna nam hua hum logon ka
aur to kuchh nuqsan hua ho KHwab mein yaad nahin hai magar
ek sitara zarb-e-sahar se TuT gaya hum logon ka
ye jo hum taKHliq-e-jahan-e-nau mein lage hain pagal hain
dur se hum ko dekhne wale hath baTa hum logon ka
bigDe the bigDe hi rahe aur umr guzari masti mein
duniya duniya karne se jab kuchh na bana hum logon ka
KHak ki shohrat dekh ke hum bhi KHak hue the pal bhar ko
phir to taaqub karti rahi ek umr hawa hum logon ka
shab bhar ek aawaz banai subh hui to chiKH paDe
roz ka ek mamul hai ab to KHwab-zada hum logon ka
Ghazal
SurKH sahar se hai to bas itna sa gila hum logon ka
Abhishek Shukla