اردو हिंदी
SurKH-ru hone ke qabil kya hina thi main na tha | Shaahi Shayari
surKH-ru hone ke qabil kya hina thi main na tha

Ghazal

SurKH-ru hone ke qabil kya hina thi main na tha

Nawab Shahjahan Begum Shahjahan

;

surKH-ru hone ke qabil kya hina thi main na tha
aap ke qadmon ke niche us ko ja thi main na tha

dekhte kya ho udhar gar zulf barham ho gai
ye sarasar harkat-e-baad-e-saba thi main na tha

jal gae aghyar sab mahfil mein aane se mere
ai pari ye garmi-e-ah-e-rasa thi main na tha

kyun na us hasrat se mera shisha-e-dil chur ho
bagh tha saqi tha sabza tha hawa thi main na tha