surKH mausam ki kahani hai purani ho na ho
aasman ka rang aage aasmani ho na ho
KHwab mein mujh ko nazar aati hain bhigi sipiyan
aankh khulne par teri aankhon mein pani ho na ho
sath hoti hai mere har gam par sanjidgi
ho rahi hai dur ab mujh se jawani ho na ho
har jagah niklegi teri baat mujh ko dekh kar
tazkira tera kahin meri zabani ho na ho
raushni dete rahenge mujh ko zaKHmon ke charag
ab andhere mein kahin se zau-fishani ho na ho
ek taraf meri ana hai ek taraf teri KHushi
aa gaya mere liye pal imtihani ho na ho
zahr ka pani mein hona tai-shuda hai 'ehtiram'
aagahi ke ghaT par dariya mein pani ho na ho
Ghazal
SurKH mausam ki kahani hai purani ho na ho
Ehteram Islam